tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto
ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto
kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain
ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto
ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto
apne siva hamare na hone ka gam kise
apni talash main to ham hi ham hain dosto
apni talash main to ham hi ham hain dosto
kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto
kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto
is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto
ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto
sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai
duniya main aise log bahut kam hain dosto
duniya main aise log bahut kam hain dosto
No comments:
Post a Comment