Welcome

Welcome to the World of Poetry
"Deepak"


Mein aur Meri poetry Jaise Teer Bina Kamaan k,

Jaan le lu Mei Jaan re.. :P :D

Friday, 28 September 2012

Ajab pagal si larki hai




Ajab pagal si larki hai
mujhe har khat me likhti hai
mujhe tum yaad karte ho
tumhai’n me yaad aati ho’n
meri batai’n satati hai’n
meri nendai’n jagati hai
meri aankhai’n rulati hai
Decembr ki sunehri dhoop me
ab bhi tehelte ho
kisi khamosh raste se koi aawaz aati hai
titharti sard raato’n me
tum ab bhi chat pe jate ho
falak k sab sitaro’n ko
meri batai’n sunatay ho
kitabo’n se tumharay ishq me koi kami aai
ya meri yaad ki shiddat se
aankho’n me nami aai
ajab pagal si larki hai
mere har khat me likhti hai
jawabn us ko likhta ho’n
meri masrufiat dekho
subho se sham office me
charag-e-umr jalta hai
phir us k bad dunya ki
kai majborai’n pao’n me
bedia daal rakhti hai
mujhe be’fikr chahat se
bharay sapne nahi dikhte
tehelne jagne roone ki
mohlat he nahi milti
sitaro’n se mile arsa huva
naraz ho’n shayad
kitabo’n se shagaf mera
abhi wese he qaim hai
farak itna bada hay ab
unhe arse me padhta ho’n
tumhai’n kis ne kaha pagli
tumhai’n me yaad karta ho’n
k main khud ko bhulane ki
musalsal justujo’n me ho’n
tuhai’n na yaad aane ki
musalsal justujo’n me ho’n
magar ye justujo’n meri
bohot nakam rehti hai
mere din raat me ab bhi
tumhari yaad rehti hai
mere lafzo’n ki har maala
tumharay naam rehti hai
tumhai’n kis ne kaha pagli
tumhai’n main yaad karta ho’n
purani baat hay jo log
aksar gungunate hai’n
unhe hum yaad karte hai’n
jinhe hum bhool jate hai
ajab pagal si larki hai
meri masrufiat dekho
tumhain DIL se bhulao’n to
tumhari yaad aai na
tumhai’n DIL se bhulane ki
mujhe fursat nahi milti
or is masruf jivan me
tumharay khat ka ek jumla
tumhai’n me yaad rehti ho
meri chahat ki shiddat me
kami hone nahi deta
boht raatai’n jagata hai
mujhe soone nahi deta
so agli bar khat me
ye jumla nahi likhna
ajab pagal si larki hai
mujhe phir bhi ye likhti hai
mujhe tum yaad karte ho
tumhai’n me yaad aati ho’n
tumhai’n me yaad aati ho’n. . . . 

Wo kehti hai suno jaana,



Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?
Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,
Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,
Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,
Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,
Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,
Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?
Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,
Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?
Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,
Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,
Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,
Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,
Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,
Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?
Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?
Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,
Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,
Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!!

Ik Saal Purana Qissa Hai


Ik Saal Purana Qissa Hai
Ik Larka Tha Deewana Sa
Karta Tha Manmana Sa
Wo Shokh Shokh Chanchal Sa
Mehka Mehka Pagal Sa
Ik Roz Muhabbat Ker Betha
Or Ab K Sal Ka Qissa Hai
Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai
Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya
Or Apne Aap Ko Maar Gya
Sare Jag Se Jeet Gya
Bas Apne Aap Se Haar Gya .

Thursday, 27 September 2012

Ek Pagal ladki jise main janta hoon.



Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.
kuchh bhi kaho, lagti hai vo ek gudiya,
bhool jata hoon har gam, jab sath ho vo jadu ki pudiya.
thodi si chanchal hai
thodi si nadaan hai vo
thodi si bholi hai
aur iss zalim duniya se anjaan hai vo
Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.
Gam diye hai usko, uske khwaabo ki tabir ne.
Dhokha diya hai Usko, uski be-intehaa wafa ne.
Gar bholepan ka matlab gam hai, to de do mujhe sare gam.
Rehne do usko bholi, na aaye uske chehre pe sitam.
Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.
Aae kash main uske liye kuchh kar pata.
Apne hisse ki khusiya bhi uske nazar kar pata.
Aye mere khuda, apni kuchh rehmat dikha.
Uska bholapan, muskaan, masoomiyat mujhe firse dikha.
Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.

Chand nikla kare to chhat par aaya karo



Surkh aanchal main chehra chhupaya karo
Chand nikla kare to chhat par aaya karo
Chhat par tahlo ada se sawarte hue
Main bhi dekhu tumhen nikharte hue
Der tak aisa didar karta rahu
Achhi tasvir aankho main bharta rahu
Mujhse najre na ab tum churaya karo
Chand nikla kare chhat pe aaya karo
Der he se sahi aa bhi jaya karo
Dekhkar mujhko aanchal giraya karo
Dhup ki, chhao ki, sham ki, rat ki
Bigre mausham ki ya fir to barsat ki
Ab na jhuthe bahane banaya karo
Chand nikla kare chhat pe aaya karo
Apni palke jhukakar uthalo jara
Apni balkhai julfen saja lo jara
Kuchh na bolo na koi shararat karo
Mujhse na ab tum shikayat karo
Bas mujhse dekhkar muskuraya karo
Chand nikla kare chhat pe aaya karo…

Tere Honthon Pe Jab Naam Mera Aya Hoga,



Tere Honthon Pe Jab Naam Mera Aya Hoga,
Koi Sun Na Le Ye Soch Ke Ghabraya Hoga,
Soch Ke Apne Hi Iss Pyaar Bhari Harkat Pe,
Tu Man Hi Man Tab Haule Se Muskuraya Hoga,
Machal Gaya Hoga Tu Fir Ek Baar Mujhe Chhune Ko,
Mera Chehra Teri Nazron Me Fir Se Samaya Hoga,
Nahin Nahin Wo Mahin Mil Sakta Tujhe Ee Dil,
Tune Fir Ek Baar Apne Iss Dil Ko Samjhaya Hoga,
Tadapkar Dil Ne Fir Khuda Ko Duhai Di Hogi,
Fir Aaj Tune Dua Ke Liye Hath Uthaya Hoga,
Kar De Meri Mahobbat Mere Naam Yaa Rubba,
Tune Parwardigaar Ko Fir Ek Bar Manaya Hoga,
Na Chala Hoga Bas Tera Iss Deewane Dil Pe,
Aur Tadapkar Tune Mujhe Phone Lagaya Hoga,
Sunkar Awaaz Meri Bharra Gaya Hoga Tera Gala,
Shabd Ek Bhi Na Zabaan Se Nikal Paya Hoga,
Kaisi Hai Ye Majburi Kyun Ye Duri Hai Sanam Se,
Tune Fir Ye Sawaal Apne Maula Ke Samne Uthaya Hoga.

Is arzu say agay, k0i rasta nahi hai,



Is arzu say agay,
k0i rasta nahi hai,
Tumhain kis kadar hai
CHAHA…
Tumhain yeh paTa nahi hai
k0i paL Bina tumhare,
Bhala kaise beet jaye?
Mere pas Tum nahi ho,
Mere pass kuch nahi hai,
Meri har dua ka mehvar,
Bas Ik ARZOO Tumhari,
Is arzu se agay,
k0i rasta nahi hai,
Tumhein kIS qadaR hai
CHAHA……
Tumhain yeh
Pata Nahi HAI….

Wednesday, 26 September 2012

Aankhein Moondh Leta Hoon





Tumhara Naam Likhta Hoon Main Kaaghaz Par
Dekhta Hoon Sochta Hoon
Woh Kaaghaz Phaar Deta Hoon
Phir Unn Kaaghaz Ke Tukron Ko
Mutthi Mein Bheenchta Hoon
Phaink Deta Hoon
Waheen Par Baith Kar Larta Hoon Khud Se
Wohi Kaaghaz Uthaata Hoon
Main Aankhon Se Lagaata Hoon
Phir Apne Paas Rakhe Paani Ke Pyaale Mein
Woh Kaaghaz Daal Deta Hoon
Main Tum Ko Sochta Hoon
Phir Uss Paani Ko
Taweez-E-Mohabbat Jaan Kar Peeta Hoon
Aankhein Moondh Leta Hoon

Kisi Aur Zindagi Kaa Meri Zindagi Main Hissa Hai


Kisi Aur Zindagi Kaa Meri Zindagi Main Hissa Hai 
Ekk Umr Se Bada Hum Dono Kaa Rishta Hai 
Dil Ko Aap Bhee Zara Apni Aankhen To Dijiye
Zindagi Se Aage Bhee Bahut Kuchh Dikhta Hai 
Mai Jo Bhii Geet Kagaz Par Utarun
Koi Aake Chupke Se Wahan Tera Naam Likhta Hai 
Main Likhna Kese Chhod Dun, Ye To Aaina Hain Mere Zazbaato Kaa
Jisme E-Humdam Tera Chehra Dikhta Hai 
Log Kehte Hai Us Khuda Ko Kisi Ne Nahi Dekha
Tu Muskurata Hain Toh Mujhe Vo Bhii Dikhta Hai 
Tera Do Lamho Kaa Saath Mila To Jese Sab Mil Gaya
Ab Kyon Poochun Kisi Se, Aakhir Ye Kismat Kaun Likhta Hai

Nazar Jab Tum Se Milti Hai


Nazar Jab Tum Se Milti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Bas Ek Dharkan Dharakti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Tumhain Milne Se Pehle
Main Bohat Banta Sanwarta Ho
Mager Jab Tum Sanwarti
Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Main Akser Sochta Rehta
Hoon Kya Hai Ye Sab???
Tu Batain Mujhe Se Karti
Hai
 Main Sab Kuch Bhool Jata Hoon
Main Apni Zaat Main Khud-Dar
Hoon’ Khoya Sa Rehta Hoon
Mager Jab Teri Chori Khanakti
Hai Main Khud Ko Bhool Jata Hoo
Tu Gum Hoti Hai Socho Main’
Main Takta He Rehta Hoon
Jo Tu Pehlo Badalti Hai Main
Khud Ko Bhool Jata Hoon
Main Akser Kitabo Pe
Tera Naam Likhta Hoon
Mager Kuch Tu Jo Likhti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Main aksar yehi kehta hoon, main tum say pyar karta hoon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hoon..

Tuesday, 25 September 2012

Meri mohabbat. :)



Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho
Tum jahan peh beth k jati ho
Main waheen pe betha rehta hoon
Uss cheez ko choota rehta hoon
Main aisi mohabbt karta hoon

Tum jis se huns k milti ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis raste par chalti ho
Main us se aata jata hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum jin ko dekhti rehti ho
woh khawab....sarhane rakhta hoon
Tum se milne julne k
Kitne hi bahane rakhta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho


Kuch khawab saja kar aankhon main
Palkon say moti chunta hoon
Koi lums agar choo jaa a to
Main pehroon us ko sochta hoon
Main...aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jin logon main tum rehti ho
Tum jin se baatein karti ho
Tum jin se huns k milti ho
Jo tum ko ache lagte hoon
Wohi mujh ko ache lagte hain
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jis bagh main subah ko jati ho
Jis sabze par tum chalti ho
Jo shaakh tumhein choo jati hai
Jo khushboo...tum ko bhaati hai
Woh oos tumhare chehre par
Jo qatra qatra girti hai
Woh tittli chor k phoolon ko
Jo tum se milne aati hai
Jo tum ko choone aati hay
Unn sab k nazuk jazbon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shamil rehti hai
Tum paas raho ya door raho
Nazron main samai rehti ho
Main tum ko takta rehta hoon
Main tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum kaisi mohabbat karte ho?



Tum jab bhi ghar par aati ho
Aur sab se baatein karti ho
Main aut se parde ki jana
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Ik tum ko dekhne ki khatir main kitna pagal hota hoon
Main aisi mohabat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho ?

Jab darwaze par dastak ho
Ya ghanti phone ki bajti ho
Main chor k sab kuch bhagta hoon
aur tum ko jo na paoon to ji bhar k rone lagta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho?

Mehfil main kahein bhi jana ho
Kapron ka selection karna ho
Rang bohat se samne bikhre hoon
Uss rang pe dil aa jata hai
Jo rang k tum ko bhata hai
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho ?

Rozana apne college main
Kisi aur ka lecture sunte hue
Ya break k khali ghante main
Yaaron se baatein karte hue
Mere dhyan main tum aa jati ho
MAin,main nahin rehta
Phir jaana main tum main gum ho jata hoon
Bas khawabon main kho jata hoon
Unn aankhon main kho jata hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho?

Jis chehre par bhi nigah pare
Har chehra tum sa lagta hai
Woh sham ho ya ke dhup samay sab kitna bhala sa lagta hai
Jane ye kaisa nasha hai garmi ka
Tapta mousam bhi jare ka maheena lagta hai
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho ?

Tum jab bhi samne aate ho
Main tum se sunna chahta hoon
Kash kabhi tum ye keh do
Tum mujh se mohabbat karti ho
Tum mujh ko bohat hi chahti ho
Lekin jane tum kyun chup ho
Yeh soch k dil ghabrata hai
Aisa to nahin hai na jana sirf meri nazar ka dhoka ho
Tum ne mujh ko chaha hi na ho
Koi aur hi dil main rehta ho

Main tum se poochna chahta hoon
Main tum se kehna chahta hoon
Lekin kuch pooch nahin sakta mana ke mohabbat hai
Phir bhi lab apne khol nahin sakta
Main darta hoon kaise keh doon
Main kaisi mohabat karti hoon
Main tum se ye kaise pochoon
Tum kaisi mohabbat karte ho
Chup chap see main...ho jata hoon
Phir dil main apne kehta hoon

Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho?

Main aisi Mohabbat karta hun


Jis college main tum pardhti ho
Jis class main bhi tum jaati ho
Jis kursi pe tum bethti ho
Jab class woh khali hoti hai
Main ja k us main bethta hoon
Uss kursi ko main choota hoon
Gadla sa ik tissue paper
Jo tum ne class main choora tha
Main pyar se uss ko choota hoon
Main us ko...purse main rakhta hoon
Woh copy jis main lecture k tum points likhti rehti ho
Har moqay par Har manzar main
Main saath tumhare rehta hoon
Main chashm-e-tasavvur main aksar
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Bas tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Mujhy Thandak raas Nahe Aati
Mujhay Barsih Se Khof aata he
pr Jis din se maloom hua
Yeh mosam tumko bhata he
ab jab bhi sawan aata he
barish main bheegta rehta hun
Main a c Muhabbat krta hun....

Monday, 24 September 2012

China ki chaplein

In barishon se kaho k mere angan me yun na brsa krein Faraz,
Meri China ki chaplein keechar me phisalti hain…….!! :-D

bijli bhi medicine ki trah

Ab to bijli bhi medicine ki trah ho gae hy FARAZ…
2 ghanta subah nashte se pehle
2 ghanta dopehar khane k baad
Or 2 ghanta raat sone se pehle

Daku Shayer

Ek Shayar Ghurbt Se Tang Aa Kr Daku Bn Gya


Daketi Krne 1 Bank Gya Or Kaha



Arz He

Takdir Me Jo Hai Wohi Milega,



HandsUp,Koi Apni Jagah Se Nahi Hilega..





Phir Cashier Se Kaha...


Apne Kuch Khuwab Meri Aankho Se Nikaal Do...



Jo Kuch Bhi Tmhare Pas H Jaldi Se Is Bag Me Daal Do



Boht Koshish Krta Hun Teri Yad Bhulane Ki,

Khabrdaar Koi Koshish Na Kre Police Ko Bulane Ki





Bhula De Mujhko, Kya Jata H Tera,


Me Goli Maar Dun Ga, Jo Kisi Ne Picha Kiya Mera.

Mazaq Mazaq Main

Yunhi Mazaq Mazaq Main Hum Ganjey Ho Gae Faraz!
Najaney Kon Hamarey Shampoo Main Veet Daal Gaya?

Petrol Bht Mehnga

Main Ne Usay Btaya B Hai K Petrol Bht Mehnga Ha ?Faraz..!?
Phr B Kehti Hai Falak Tak Chal Sath Mere,
Falak Tak Chal Sath Chal?..

Anarkali Phasante Raho

Zindagi Lambi Hai Dost Banate Raho
Dil Mile Na Mile Hath Milate Raho
Taj Mahaln banana To Mushkil Hai Mager
Har Gali Main 1 Anarkali Phasante Raho

Daud Ke Karna Kya Hai

Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai?
Jab Yehi Jeena Hai Dosto To Phir Marna Kya Hai?

Paheli Barish Me Train Late Hone Ki Fikr Hai
Bhul Gaye Bhigte Hue Tahelna Kya Hai?

Serails Ke Kirdaaro Ka Saara Haal Hai Malum
Par Maa Ka Haal Puchhne Ki Fursat Kise Hai?

Ab Ret Pe Nage Pao Tahelte Kyu Nahi?
108 Hai Chanel Phir Dil Bahelte Kyu Nahi?

Internet Ki Duniya Ke To Touch Me Hai,
Lekin Pados Me Kon Raheta Hai Jaante Tak Nahi.

Mobile, Landline Sab Ki Bharmaar Hai,
Lekin Jigri Dost Tak Pahuche Aise Taar Kaha Hai?

Kab Dubte Hue Suraj Ko Dekha Tha Yaad Hai?
Kab Jaana Tha Shaam Ka Woh Banana Kya Hai?

To Dosto Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai
Jab Yahi Jeena Hai To Phir Marna Kya Hai?

Mixx

Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Kyuki Tumare Ghar Ki Ghanti Hum Hi Baja Kar Bhage
Aap Itrate Bahut Ho
Dil Ko Behlate Bahut Ho
Sochte Hai Aap Ko DINNER Par Le Jaye
Par Kya Kare ZALIM Tum Khate Bahut Ho
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Gaur Farmaaiga..
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Ek Cup Shubah.. Or Ek Cup Shaam Ko Pilaenge
Mere Marne Ke Baad Mere Doston,
Yu Aansoo Na Bahana,
Agar Meri Yaad Aaye To,
Sidhe Upar Chale Aana!!
Kitna Pyaar Karte Hain Tumse
Kaash Tumko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaye
Magar Aisa Na Ho Ke
Woh Hosh Mein Tab Aaaye
Jab Hum Gehri Neend Mein So Jaaye
Amiri Ke Khwab Dekhne Laga
Angreji Sharab Chakhane Laga
Baap Ne Kabhi Pager Nahi Dekha
Aur Beta Mobile Rakhne Laga!!!
Hathi Nay Kaha Ja Kar Hathni Ki Kabar Per
Sadqay Jaoon Tumhari Patli Kamar Per

Bohat Hee Khobsurat Nazm

Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain
Yeh Larke Kion Apna Waqt Berbaad Kerte Hain
Zara Samjha Kero Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo
K Sharif Zaade Kahan, Kab, Aisi Baat Karte Hain
Kissi Se ?Luv U? Kehte Hain Kissi Se ?Hug U? Kehte Hain
Yeh Jo Aap Kerte Hain Who Kya Khak Kerte Hain??
Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Kerte Hain
Maa Baap Ke Paisoon Ka Khana Kharab Kerte Hain
Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Kerte Hain
Mager Matlub Ki Baatoon Ko Huns Ke Taala Kerte Hain
Dharm Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Karte Hain
Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhte Hain
Nahin Ager Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor
To Larkion Ke Face Mein Kia Talaash Kerte Hain???
Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon Inn Pe Likh Ker
Chalein Chorein Aaj Hum Inn Ko Maaf Kerte Hain?..

Ishq Kernai Walon Ka Yehi Anjam Hota Hai

Ishq Kernai Walon Ka Yehi Anjam Hota Hai
Kabhi Nazla Kabhi Khansi Kabhi Zukaam Hota Hai

Milne Ka Bara Shoq Tha

Mujhe Apni Mehbooba Se Milne Ka Bara Shoq Tha
Use Qareeb Se Dekne Ka Bara Shoq Tha
1 Din Likh Diya Khat Usko Sabr Kar K
Dil Me Armano Ki Qabr Kar K
Bholi Bhali Samaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Gulzar Ko
Me Ne Darya Ki 1 Bari Moj Dekhi
Jab Apne Peeche Gulzar Ki Foj Dekhi
Un K Maarne Se Jism Se Saaz Nikal Rahe The
Mun Se Agle Pichle Raaz Nikal Rahe The
Logon Ne Kaha Kis Pe Azaab Aaya He
Dil Ne Kaha Khat Ka Jwaab Aaya Hai

New Student Remix Of Amplifier

KaAliyan bariyan we paper nu me laawa,
Speed me 220 di likhaan,
Teacher de saamne me nai rukda,
Em a night writer,
Rem0vAan maAr mar paper nu chehk kad da,
Sarey bchey takde we ki hogaya,
Lagda we aj mera paper hogaya,
Un nu me puchda,
Ni paper sada le ja ni jattiye,
Ni dur isey le ja we ariye,
Ni teacher tu meri, meri, Mein tera student dent.

Monday Ko Office Jana Hai

Niklay Jo Duniya Ki Bheer Main To Jana Yeh Faraz
Her Sakhs Woh Udas Hai Jisay Monday Ko Office Jana Hai :p

Ek Ladki thee Diwani see

Ek Ladki thee Diwani see,
Tendulkar per wo Martee Thee,
Chori chori, chupke chupke Bhajji ko
Chitthiyaan Likha Karti Thee,
Nazren jhuka ke, Sharma ke,
Gauti se baatein karti thee,
Kabhi kabhi zulfein bikherke,
Viru ki galiyon se Guzarti thee,
Kuchh kehna tha shayad usko Raina se,
par Maahi se wo darti thee,
Jab bhi milti thi Yuvi se,
bas yehi poochha karti thi ke,
Kameeno, Koi Series kab Jeetoge???

Students ka sufiana kalam

Likhna Parhna chhad de bandeya, Nekiyan te rakh aass…
Chuk Chaadar tey soja bandya Rab karey ga pass …!!!
.
.
Students ka sufiana kalam :-)

Muhabat ko naya morr

Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi daant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to marorr diya us ne!
Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to peche kutta chor diya usne..

Mein araam karta hoon,

Mein din bhar kuch nahin karta, Mein araam karta hoon,
Woh apna kaam karte hain, Mein apna kaam karta hoon..

Exam song !

Exam song !
Why this examveri examveri examveri di…
Distancile frnd frnd, frnd mind sharp.
Exam teachr strict strict, my future dark…
Why this examveri examveri examveri di..
White color paper paper, paper print black , eyes eyes meet meet all the time waste..
Why this examveri examveri examveri di..
Pe pe pa pan pe pe pa pan
seriya vasi
ready 1 2 3 4..
Tune changes..
Kayila paper.. Only englsh..
Handla paper, paper question eyes fulla tearu..
Empty brain , exam come , life revers gear..
Frnd u frnd u oh my frnd pls show me answrs nw u..
God i m dying nw
pls make me pass nw..

Ye baat samajh me aayi nahi

Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?
Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?
Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nhai.

agey parhai asaan hai..

Nigaahain aaj bhi us shakhs ko talash karti hain Faraz,
Jis ne kaha tha bass “Matric” karlo agey parhai asaan hai..
:D :D

Mere Marne k baad Meri kahani likhna



Mere Marne k baad Meri kahani
likhna
kaise barbaad Hoi
Meri Jawaani likhna Aur likhna k Mere
Hont khushi ko
...
Tarse
Kaise barsaa Meri
Aankhon Se Paani
likhna Aur likhna k Use
intizaar To bahut
Thaa Tera
Aakhri Sanson Men wo Hichkion ki
Rawaani likhna
likhna k Marte WaQat bhi deta tha Dua TuJh ko ...
Haath Bahir the
Qafan se ye Nishaani likhna..

Sunday, 23 September 2012

Ab Main Aksar Khush Rehta Hoon………!!




Yaad hai Janaa..?

pechle Bar tumne kaha Tha,

”Mujh Ko Bhool K Tum Khush rehna"

tumko to main Bhool nahi Paya,

Lakeen janaa,

chupkay Chupkay dukh Sehta hon,

Ab main Aksar khush Rehta Hon…!!

mujHe kHaraaB reHne do



JiSe samajh paaNa hai mUshkil,, aiSi kitaaB reHne dO,,

meri aadateiN haiN kHaraaB mujHe kHaraaB reHne do....

Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar,



"Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar,

"Ay Dil Usay Kabhi To Bhool Jaya

Kar,

"Dekhna Wo Ek Din Tujhy Chorr Jaay

ga,

"Na Tu Usay itna Sataaya Kar,


"itna Aetbaar Bhi Acha Nahi Hota,

"Usay Har Ek Baat Na Bataya Kar,


"Shiddat-E-Gham Se Seena Phatt Jaay ga,


"Aankh Se Kuch Aansu Bahaya

Kar,

"Us Jesa Tujhy

Kahin Mil Nahi
Sakta,

"Hazaar Baar Roothy Hazaar Baar Manaya Kar..!!

Aa'datan Uska Naam Lkhein Gi



Ungaliyon Ko Taraash Doun Phir Bhi.

Aa'datan Uska Naam Lkhein Gi....

Yeh tu Jaan Lay Chalaa Hai .


Woh Meri Ghazal Parh Kar , Pehloo Badal Kay Bolay . . .

Koi Qalam Chheenay iss Say , Yeh tu Jaan Lay Chalaa Hai . . .!!!

kon rokta hamain


tere jany k baad kon rokta hamain.♥

jee bhar kar khoud ko barad keya hum ne ♥

Saturday, 22 September 2012

Main Lauton ga December main


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main

Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!

nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....
Main Lauton ga December main

December Ab KaY AaOoO To


December ab kay aao to
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain
Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain
Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai
Aur uss ko jo bhi pouron sey
Nazar sey chhoo gaya pal bhar
Mehek uthaa

December ab kay aao to
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
Jahan per rait kay zarey sitaarey hain
Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hain
Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain
Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai
December hum sey na poocho hamaarey sheher ki baabat
Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai
Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein

Muhabbat barff jaisee hai yahaan
Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai
Yahan jab subah aati hai
Tou shab kay saarey sapney
Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain
Yahan dil kay lahoo mein
Apne Laikh'on ko dabo ker ham
Sunehray khwaab buntey hein
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein
Inhi khwaaboun pey martey hein

Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin
Magar phir bhi
December Ab KaY AaOoO To
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!

Suno december...!


Suno december...!
Ussay pukaro, ussay bula do
Ussay mila do!
Ab is se pehle ke saans niklay
Ab is se pehle ke saal guzray
Wohi lakeerain, wohi sitaaray
Meri lakiron main qaid kar do
Ya aakhri shab ke aakhri pall
Koi bara ikhtitam kar do
Yeh zindagi bhi tamam kar do
Suno december ussay mila do!!

Chandni December Ki !



Raat Uss Na Poocha Thah
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Main Nay Kehna Chaha Thah
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki !

DECEMBER LOAT AAYA HAI



DECEMBER LOAT AAYA HAI
AUR SUNG APNEY DARD-O-GHAM SAMAIT LAYA HAI
JAB HAWA MEIN KHUNKI BARH JATI HAI
JANE KYUN?
MEREY DIL KI HALAT ABTER HO JATI HAI
BAY-BAAT BARASTI HEIN AANKHAIN
AUR DIL MEIN KHALISH AA JATI HAI
JAB DARD KI TEESAIN UTHTI HEIN
MEREY DIL KO LAHO KER JATI HEIN
JANE KYUN?
TUB BICHRAY YAAD AANE LAGTEY HEIN
AUR DARD SATANEY LAGTEY HEIN
JANE KYUN AISA HOTA HAI?
JAB BHI DECEMBER AATA HAI
MUJH KO TANHA KER JATA HAI

Zara dekho to darwaze pe



Zara dekho to darwaze pe!! dastak kis nay Ki Hai..?
Agar ho ISHQ to kehna,Yahan koi Dil nahii rehta..

umar bhar ka sahara



Kaun deta hai umar bhar ka sahara ae dost,
Log to zanaje mein bhi kandha badalte rahte hain.

Phir Bikharne Tak


Kisi Bhi Dard Ki Had Se Zara Ghuzarne Tak
Me Khud Ko Jodta Rehta Hooh Phir Bikharne Tak

Hum To Mojood Thay




Hum To Mojood Thay Andheroon Mai Ujaalon Ki Tarah
Tum Nay Chaha Hi Nahi Chaahnay Waloon Ki Tarah..

Samandar may fana hona






Samandar may fana hona to qismat ki kahani hay ,
Jo martay hain kinaron pay ,mujhay dukh un pay hota hay

QISTON MAI KHUDKUSHI


BHOOLE HAIN RAFTA RAFTA UNHAIN MUDDATON MAIN HUM
QISTON MAI KHUDKUSHI KA MAZA HUM SE POOCHIYE

roshni


Ab jis k ji main aye wohi pa le roshni...
Humne to dil jala ker sar-e-rah rakh dia..

Adat Ab bhi Baki Hay.


Bohat Tabdeeliyaan Laye Hain Apnay Aaap Main Lekin
Tumhari Yaad Main jeenay Ki Adat Ab bhi Baki Hay..

Dil ka mehal ho goya mera, un k naam pey


Bethy hain dil mian mery wo yun Itmenan sey

Dil ka mehal ho goya mera, un k naam pey..

Shaam hote hi sab diye bhuja deta hooon


Shaam hote hi sab diye bhuja deta hooon
Mera dil hi kaafi hai teri yaad mai jalne k liye

Friday, 21 September 2012

lagta hai usse dard chupaane ka hunar nahi aata

woh likhta hai apni tanhaiyon ke kisse kisi kagaz ke kone pe,

lagta hai usse dard chupaane ka hunar nahi aata..

Zarori To Nahi Jo Khushi Dy Usi Sy Mohabbat Ho

Zarori To Nahi Jo Khushi Dy Usi Sy Mohabbat Ho,

Pyar To Aksar Dil Torny Walon Sy Bhi Ho Jata Ha.

Maana K Teri Nazar Mein Kuch Bhi Nahi Hoon Mein


Maana K Teri Nazar Mein Kuch Bhi Nahi Hoon Mein

Meri Qadar Un Sy Pouch

Jin Ko Palat Kar Nahi Dekha Meine Sirf Tumhare Liye.

Hum Dua Ko AzmaYen Gay


Ab Dekhte Hain Hum Dono Juda Kese Ho Paayen Gey,

Tum MuQadar Ka LeKha Kehte Ho.. Hum Dua Ko AzmaYen Gay...

Kam ker dunga main apne pyar ka silsila


Kam ker dunga main apne pyar ka silsila tumse,

Me samajh chuka hu ke ye pyar bhara dil tumse ab sambhala nahi jata.

Basti Kitni Door Basa Li, Dil M Basne Walon Ne


Chalte Chalte Thak K Pucha, Mere Paon K Chaalon Ne.

Basti Kitni Door Basa Li, Dil M Basne Walon Ne. :(

Tum sE t0 MoHaBBat Hai .... TuM sE Kya MiLNa....!







NaZdEEk hE ReHta Hai WoH PaR MiLnaY NaHi Aata....

PoucHo t0 MuskuRa K kEhta Hai...
Tum sE t0 MoHaBBat Hai ....
TuM sE Kya MiLNa....!! :(

Meri ungli pakarh lena, mujhe Tanha nahi krna


♥ Meri ungli pakarh lena, mujhe Tanha nahi krna ♥

♥ Ye duniya ek Mela hai, Main tumhen khone se darta hu ♥

Ae mah-e-september


Uski ki Yadien,Lambi Ratien,yeh Barishen or Thandi Hawa

Ae mah-e-september tu to December sey b Qatil Nikala

Jis Afsane ka Anjam kuch Maloom Na Ho


Jis Afsane ka Anjam kuch Maloom Na Ho,

Usko Ek Khubsoorat Mod Deke Chorna Hi Achha H.

Tum Aao Or Kisi Roz Isko Ly Jao.


Tum Aao Or Kisi Roz Isko Ly Jao.

Bas Ik Saans Hy,Iss Pr Bhi Tmhara Haq Hy...

Tumhari Duniya Me


Tumhari Duniya Me "HUM" Jese Hazaron Honge. ,

Magar.Humari Duniya Mein "TUM" Sa Koi B Ni

IshQ ko tumhara Pata Dena Paray Ga


Aik Tum bhi Naa , Itni Jaldi so Jaatay Ho . . .

Lagta Hai IshQ ko tumhara Pata Dena Paray Ga . . !

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Beraham


tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto
kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain
ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto
apne siva hamare na hone ka gam kise
apni talash main to ham hi ham hain dosto
kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto
is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto
sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai
duniya main aise log bahut kam hain dosto

Suna Hai Log Use Ankh Bhar K


suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahar main kuch din thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko kharab halon se
so apane ap ko barbad karake dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-nazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baton se phuul jharate hain
ye bat hai to chalo bat kar ke dekhte hain
suna hai rat use chand takata rahata hai
sitare bam-e-falak se utar kar dekhte hain
suna hai hashr hain us ki gazal si ankhain
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai din ko use titaliyan satati hain
suna hai rat ko jugnuu thahar ke dekhte hain
suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
so us ko surmafarosh ankh bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalate hain
so ham bahar par ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aina tamasal hai jabin us ka
jo sada dil hain ban sanvar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
mizaj aur hi lal-o-gauhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan main
palang zave us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ke tarash aise hain
ke phuul apani qabayain katar ke dekhte hain
wo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hain
bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
so rahravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain
ruke to gardishain us ka tavaf karati hain
chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain
kise nasib ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-divar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hin sahi sab mubalage hi sahi
agar wo khvab hai tabir kar ke dekhte hain
                                              ab us ke shahar main thaharain ki kuuch kar jayain
                                                       'Faraz' ao sitare safar ke dekhte hain