Welcome

Welcome to the World of Poetry
"Deepak"


Mein aur Meri poetry Jaise Teer Bina Kamaan k,

Jaan le lu Mei Jaan re.. :P :D

Tuesday, 11 December 2012

DecembeR



Mein kaiSe saRD hathOn sE,tumhaRe GaaLChooTa thA .....
DecembeR mE tumhEin meRi shaRaRaT yaaD aYe Gi .

Saturday, 8 December 2012

Kabhee Kabhee in habs bhari raton main



Kabhee Kabhee in habs bhari raton main
Jab
Sab Awazain so jatee hain
Aadhee neend ki ghayal madhoshi main
Ek Khwab anokha jaagta hai…..!
…Mein daikhta hoon
Gard ki is chadar se udhar
Jo mere us ke beech tani hai
WOH bhi tanha jaag rahi hai…!!!

Usey Kehna K Palkon Pe Na Taane Khwab Ki Chaadar..



Usey Kehna K Palkon Pe Na Taane Khwab Ki Chaadar..
Samundar K Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nhi Milta..
Faqat Tum Hi Se Karta Hoon Me Saari Raaz Ki Baaten..
Har Aik Ko Daastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nhi Milta?
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai..
Kisi K Hijar Mein Neenden Ganwa Kar Kuch Nhi Milta..
Jigar Ho Jaaye Ga Chalni Ye Aankhen Khoon Royen Gi??WASi?
Be-Faiz Logon Se Nibha Kar muhobat ?Kuch Nhi Milta?.!

“Tujhe Kash Mohbbat Ho Jaye ”



“Kuch Khwab The Meri Ankhon Mein
Tujhe Pa Lene Ki Chahat Thi…….!

Chand Lafzoon Mein Hi Kehta Hu

Mujhe Tum Se Bahut Mohabbat Thi
Per Tum Kya Jano Chahat Ko……!
Tumhe Ho Jati To Poochta mai

Dil Jab Jab Toot Ke Rota Hai……… !

Kya Dard Tumhe Bhi Hota hai

Ye Khwaab Haqeeqat Ho Jaye

Kisi Apne Jaise Sang-dil Se…….!

“Tujhe Kash Mohbbat Ho Jaye

Suno Tum Khwab Ho Mera,



Suno Tum Khwab Ho Mera,

Suno Tum Khwab Mat Hona. :(
Miss U My Chand Pari :(

Pagal aankhon wali Larki..

Pagal aankhon wali Larki..
Itny mehngy khwab na dekho..
Thak jao gi..

Kanch se nazuk khwab tumhary..
Toot gaye to pachtao gi..
Tum kya jano..

Khwab.. Adhoori raat ka dozakh!
Khwab.. Khayalon ka pachtawa..
Khawabon ka hasil tanhai..

Mehngay khwab khareedna hon to..
Aankhain bechna parti hain..
Rishty bhoolna partey hain..

Andeshon ki rait na phenkho..
Khawabon ki oot saraab na dekho..
pyaas na dekho..

Itny mehngy khwab na dekho…
Thak jao gi..!
Pagal aankhon wali Larki…!

TUM AJEEB LARKI HO!!!



 Tum ajeeb larki ho,
Aansuon ko peeti ho,
Zehar zindagi ke sub,
Sath le ke jeeti ho
Chandni ke haale ko,
Subha ke ujale ko,
Roshni ke badal mein,
Jhilmilate aanchal mein,
Baandh ke yun rakhti ho,
Tum ajeeb larki ho.
Chhup ke aahain bharti ho,
Roshni se darti ho,
Apne sare sapnon ko,
Yun chhupa ke rakhti ho,
Jaise sare khwabon per,
Ishq ke azabon per,
Bus tumhara hi huq hai,
Aise baatain karti ho,
Tum ajeeb larki ho.
Khwab bunti rehti ho,
Khwab ke jharokon se,
Mujh ko takti rehti ho,
Un-ginat sawalon se,
Un-kahe jawabon se,
Bus ulajhti rehti ho,
Khwab daikhti bhi ho,
Tootne se bhi darti ho,
Tum ajeeb larki ho.
Tum wafa ki baton per,
Muskurati rehti ho,
Gehri gehri ankhon se,
Duur-been nigahon se,
Sub ko dekha karti ho,
Aur sub se chhup ke phir,
Aansu?on ko peeti ho,
Jane kaise jeeti ho,
TUM AJEEB LARKI HO!!!
♥ mAd SiNcE '91 ♥


Kaha Na Pyaar Hai Tum Se



Kaha Na Pyaar Hai Tum Se
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
K Jub Bhi Main Miloon Tum Se
Yehi Izhar Ho Lab Pe
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai…!

Tumhain Maloom Hai Jana
Muhabbat To Muhabbat Hai
Yeh To Ankhon Mein Dikhti Hai
Haseen Se Khwab Ki Soorat
Ise Kehna Nhi Parta…!

Buhut CHup CHaap Jazba Hai
Dabe Paon He CHalta Hai
Magar Jo Naksh Is K Hain
Buhut He Gehre Hote Hain
Unhain Kehna Nhi Parta…!

Magar Izhar Hota Hai
Kabhi Baton Ki Khushbu Se
Kabhi Ankhon Ki Shokhi Se
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
K Jub Main Miloon Tum Se
Yehi Izhar Ho Lab Pe
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai…!

Magar Tum Janti Ho Na
Tumhari Baat Ko Jaana
Nhi Main Taal Sakta Hoon
Chalo Main Tum Se Kehta Hoon
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai…!

Wednesday, 21 November 2012

Chalo Ek Or Dunya Mein..



Chalo Ek Or Dunya Mein..

Tumhare Saath Chalte Hain..

Jahan Halaat Kuch B Hon..

Magar Hum Saath Rehte Hon..

Jahan Mausam Koi B Ho..

Lekin Judai Ka Na Ho..

Jahan Chaand B Tum Ho..

Jahan Suraj, Hawa, Roshni..

Khushbuon Ka Rung Tum Se Ho..

Jahan Per Dil Dharakne Ka..

Har Ek Ehsaas Tum Se Ho..

Jahan Per Mere Jeene Ki..

Saari Aas Tum Se Ho..

Chalo Ek Or Dunya Mein..

Tumhare Saath Chalte Hain.

♥TUMHE♥ ik phool dena hai


♦⋰ღ⋱♦ Ţǫ ɱƴ çђąŋd ƥąŗį ♦⋰ღ⋱♦
Batao na !!
Kahan ♥TUM♥ se milon aa kar
♥TUMHE♥ ik phool dena hai
Aur ♥TUM♥ se ehad lena hai
♥TUMHE♥ arman kehna hai
♥TUMHE♥ dil jaan kehna hai
Juda karne ki sazish ko hume be'jaan karna hai
Mujhe ♥TUM♥ se ye kehna hai
Batao na !!
Mohabbat k liye ik phool kafi hy ???
Ya phir
♥TUM♥ chaand mango gi ??
Ya Meri jaan mango gi ??
Ya phir
Ye hath thaamo gi ??
Batao na !!
Kahan ♥TUM♥ se milon aa kar
♥TUMHE♥ ik phool dena hai
Aur ♥TUM♥ se ehad lena hai♥♥♥
 
♥dEEpAk♥

Jama ♥TUM♥ ho nahi sakti



♦⋰ღ⋱♦ Ţǫ ɱƴ çђąŋd ƥąŗį ♦⋰ღ⋱♦

Jama ♥TUM♥ ho nahi sakti

♥TUMHE♥ manfi se nafrat hai

♥TUMHE♥ taqseem karta hon to hasil kuch nahi ata

Koi qaa'yeda koi kuliya na lagu ♥TUM♥ pe ho paye

Zarab ♥TUJH♥ ko agar don to hisabon me khalal aye

Ikaayi ko dahaayai par Main nisbat don to kese don

Na algebra si lagti ho

Na ho degree nikal aye

Umr ye katt gayi Meri ♥TUJHE♥ Hum'dam samjhne me

Jo hall ♥TERA♥ agar nikle to sab kuch hi ulajh jaye♥♥♥

♥♥Bohat Ziyada Mohabbat Hai♥♥



`•.¸.•´Ţǫ ɱƴ çђąŋd ƥąŗį`•.¸.•´
Bohat si be'sabab baate faqat tamheed hoti hen,
Jo aksar ♥TUM♥ se kehta hon.
Sunaao or kesi ho.. ??
Suno sardi bohat h naa.. ??
Nahi mausam to acha hai..
Chalo acha Main chalta hon..
Ye sari be'sabab baate faqat tamheed hoti hen.
Aur is tamheed me ♥JAANA♥
Guzar jaate hen pal sare.
Guzar jaate hen jab lamhe.
To Main ye sochta hon k.
Zara si baat hi to thi,
♥TUMHE♥ jaldi se keh deta
♥♥Mujhe ♥TUM♥ Se Mohabbat Hai♥♥
♥♥Bohat Ziyada Mohabbat Hai♥♥
♥dEEpAk♥ 

Sunday, 18 November 2012

Kal jinhe chuu bhi nahi sakti thi farishton ki nazar


Kal jinhe chuu bhi nahi sakti thi farishton ki nazar,
Aaj woh ronaq -e- bazaar nazar aate hain..

Friday, 16 November 2012

Likh kar hamara naam zameen par mitta diya,






Likh kar hamara naam zameen par mitta diya,
Un ka tha khail khaak main hum ko milaa diya..
♥dEEpAk♥

Na woh inkaar karta hai





Na woh inkaar karta hai na woh iqraar karta hai,
Humain phir bhi gumaan hai woh humi se pyar karta hai..
♥dEEpAk♥

Woh mere sath hi rehta hai jahan tak jaaon,



Woh mere sath hi rehta hai jahan tak jaaon,
Main hoon daryaa to hai woh shakhs kinara mera..

Hum us umar mei ishq kar baithe..



Jis umar me aqal aati hai amooman,
Hum us umar mei ishq kar baithe..
♥dEEpAk♥

drust kar lia mai ne nazariya apna....






drust kar lia mai ne nazariya apna....

jab tak dard na mile ,
m0habbat mazak lagti hai....
♥dEEpAk♥

Thursday, 8 November 2012

Tune Munh Phair ke Jis Shakhs ko Dekha Bhi Nahi



Wo To Sadiyo'n ka Safar Kar ke Yahan Pohuncha Tha...

Tune Munh Phair ke Jis Shakhs ko Dekha Bhi Nahi...!!!!!

Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai


Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai
Bhala Be-Faiz Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai,

Batao Jis Ujrat Mein Khsara He Khsara Ho
Bina Sochy Khisare Ki Tijarat Kon Karta Hai,

Humain He Galat Fehmi Thi Kisi K Waste Warna
Zamane K Rawajon Se Bagawat Kon Karta Hai,

Khuda Ne Sabar Karne Ki Muje Tofeeq Bakhshi Hai
Are G Bhar K Tarpao Shikayat Kon Karta Hai,

Kisi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai
Magar Es Daor Mein Ye Zehmat Kon Karta Hai...

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta


Kissi Ki Ankh Se Sapne Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Ke Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Aadha Sapna Ho Tou Ho, Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

unse Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi jaan
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta..

Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main



Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena “Koi Khaas Nahi “
Ek Dost Kacha Pakka Sa
Ek Jhoot Hai Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhanpey Ek Parda
Bas Ek Bahana Acha Sa
Jeevan Ka Aisa Saathi Hai
Jo Duur Na Ho K Paas Nahi
Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khaas Nahi

Ek chota sa, nanha sa ladka tha main jin dino



Ek chota sa, nanha sa ladka tha main jin dino
Ek mele main pahuncha jhoom kar chalta hua.............

Ji machalta tha mera, Har kisi shay per magar

Jaib khali thi or mai kuch Kharid hi na saka........................

Lot aaya dil mai liye, hasratain main sainkaro

Ek chota sa, nanha sa larka tha main jin dino..............................


Khair mehromioon ke wo din, toh ab chale gaye

Aaj mela phir laga hai, apni usi purani shaan se......................

Aaj chahoon to Har Ek dukaan Kharid loon main

Aaj chahoon to sara jahan kharid loon main..............

Par ab dil me mere wo andaaj dhadka kahan?

Par ab woh chota sa, wo alhar sa ladka kahan¡­¡­¡­¡­¡­¡­¡­¡­¡­¡­¡­¡­.

Friday, 2 November 2012

Use Ab Lout Aana Chahiye Tha!


Hua Jo Kuch, Bhulana Chahiye tha,
Use Ab Lout Aana Chahiye Tha!

Ye Sara Bojh Mere Sar Pe Kyun Hai?
Use Bhi Thora Ghum Uthana Chahiye Tha
Itni Khamoshi Se Taluq Tod Diya,
Use Pehle Batana Chahiye tha!

Usi Ki Yaad Ki Khushbu Hai Dil Mein,
Mujhe Jis ko Bhulana Chahiye Tha

Zara Si Ghalti Pe Chhor Gya Mujhe,
Kya Use Bas Bahana Chahiye Tha?

Mujhe Paa Kar Use Kya Chain Milta?
Jise Sara Zamana Chahiye Tha....!!!
♥dEEpAk♥

Toh zinda ho tum


Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho
Hal ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein
Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein
Jo apni aankhon mein
Hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Wednesday, 24 October 2012

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi


Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolne Walon Jesi….

Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
...

Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Baalon Jesi..

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “Deepak
Sone Walon Ki Tarha Jagne Walon jesi...

Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha


Wo Jazbo Ki Tijarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha,
Use Hasne Ki Aadat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha.

Mujhe Usne Kaha Aao Nayi Duniya Basate Hain,

Use Soojhi Shararat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha.
Hamesha Uski Aankho Mein Dhanak Se Rang Hote The,
Ye Uski Aam Halat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha.

Wo Mere Paas Baithi Der Tak Ghazle Meri Sunti,

Use Khud Se Muhabbat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha.

Mere Kandhe Pe Sar Rakh Kar Kahi Par Kho Gayi Thi Wo,

Ye Ek Waqti Inayat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha.

Mujhe Wo Dekh Kar Aksar Nigaahen Pher Leti Thi,

Ye Dar Parda Hikarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha...........

Saturday, 20 October 2012

Waqt Ka Ye Parinda


वक़्त का ये परिंदा रुका है कहाँ
मैं था पागल जो इसको बुलाता रहा
चार पैसे कमाने मैं आया शहर
गाओं मेरा मुझे याद आता रहा

लौटता था मैं जब पाठशाला से घर
अपने हाथों से खाना खिलती थी माँ
रात में अपनी ममता के आँचल तले
थपकीयाँ मुझे दे के सुलाती थी माँ
सोच के दिल में एक टीस उठती रही
रात भर दर्द मुझको जागता रहा
चार पैसे कमाने मैं आया शहर
गाओं मेरा मुझे याद आता रहा

सबकी आँखों में आँसू छलक आए थे
जब रवाना हुआ था शहर के लिए
कुछ ने माँगी दुआएँ की मैं खुश रहूं
कुछ ने मंदिर में जाके जलाए दिए
एक दिन मैं बनूंगा बड़ा आदमी
ये तसव्वुर उन्हें गुदगुदाता रहा
चार पैसे कमाने मैं आया शहर
गाओं मेरा मुझे याद आता रहा

माँ ये लिखती हर बार खत में मुझे
लौट आ मेरे बेटे तुझे है क़सम
तू गया जबसे परदेस बेचैन हूँ
नींद आती नहीं भूख लगती है कम
कितना चाहा ना रोऊँ मगर क्या करूँ
खत मेरी माँ का मुझको रुलाता रहा
चार पैसे कमाने मैं आया शहर
गाओं मेरा मुझे याद आता रहा

(Waqt ka ye parinda ruka hai kahan
main tha paagal jo isko bulata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Laut ta tha main jab pathshala se ghar
Apne haathon se khana khilati thi maa
raat mein apni mamta ke aanchal tale
thapkiyan mujhe de ke sulati thi maa
soch ke dil mein ek tees uthti rahi
Raat bhar dard mujhko jagata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Sabki aankhon mein aansu chalak aaye the
Jab ravana hua tha shahar ke liye
Kuch ne maangi duayen ki main khush rahoon
kuch ne mandir mein jaake jalaye diye
Ek din main banoonga bada aadmi
Ye tasavvur unhen gudgudata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Maa ye likhti har baar khat mein mujhe
Laut aa mere bete tujhe hai qasam
Tu gaya jabse pardes bechain hoon
neend aati nahin bookh lagti hai kam
kitna chaha na roun magar kya karoon
khat meri maa ka mujhko rulata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Mushkil Hai Apna Mail Priye


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye, (my love)
tum MA 1st division ho, main hua matric phel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye, (union)
tum fauji afsar ki beti, main to kisaan ka beta hoon,
tum rabadi kheer malai ho, main to sattu sapreta hoon,
tum AC ghar mein rahti ho, main ped ke neeche leta hoon,
tum nai maruti lagti ho, main scooter lambreta hoon,
is kadar agar hum chup-chup kar aapas me prem badhayenge,
to ek roz tere daddy Amrish Puri ban jaaenge, (alas he is no more!)
sab haddi pasli tod mujhe bhijwaa denge vo jail priye,


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum arab desh kee ghodi ho, main hoon gadahe ki naal priye,
tum deewali ka bonus ho, main bhookho ki hadtaal priye,(strike)
tum heere jadi tashtari ho, main almunium ka thaal priye,
tum chicken-soop biryani ho, main kankad waali daal priye,
tum hiran-chaokadi bharti ho, main hoon kachue ki chaal priye, (flight of dear)
tum chandan-wan ki lakdi ho, main hoon babool ki chaal priye,
main pake aam sa latka hoon, mat maaro mujhe gulel priye,


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main shani-dev jaisa kuroop, tum komal kanchan kaya ho, (ugly)
main tan-se man-se Kanshi Ram, tum maha chanchala maya ho, (naughty)
tum nirmal paawan ganga ho, main jalta hua patanga hoon,(pure)
tum raaj ghaat ka shanti march, main hindu-muslim danga hoon,
tum ho poonam ka taajmahal, main kaali gufa ajanta ki,
tum ho vardaan vidhata ka, main galti hoon bhagvanta ki,(wish of god)
tum jet vimaan ki shobha ho, main bus ki thelam-thel priye, (aeroplane)


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum nai videshi mixi ho, main patthar ka silbatta hoon,
tum AK-saintalis jaisi, main to ik desi katta hoon,
tum chatur Rabadi Devi si, main bhola-bhala Lalu hoon,
tum mukt sherni jangal ki, main chidiyaghar ka bhaalu hoon, (free)
tum vyast Sonia Gandhi si, main V.P.Singh sa khali hoon, (busy)
tum hansi Madhuri Dixit ki, main policeman ki gaali hoon,
kal jel agar ho jaaye to dilwa dena tum bail priye,


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main dhabe ke dhaanche jaisa, tum paanch sitara hotel ho, (structure)
main mahue ka desi tharra, tum red-label ki botal ho,
tum chitra-haar ka madhur geet, main krishi-darshan ki jhaadi hoon, (sweet)
tum vishva-sundari si kamaal, main teliya chaap kabadi hoon,
tum sony ka mobile ho, main telephone waala hoon chonga,
tum machli maansarovar ki, main saagar tat ka hoon ghongha, (shore)
dus manzil se gir jaaooga, mat aage mujhe dhakel priye,


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum satta ki maharani ho, main vipaksha ki lachari hoon, (in power/opposition)
tum ho mamta-Jailalita si, main kwara Atal-Bihari hoon,
tum Tendulkar ka shatak priye, main follow on ki paari hoon, (century)
tum getz, matiz, corolla ho main Leyland ki lorry hoon,
mujhko refree hi rehne do, mat khelo mujhse khel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
main soch raha ki rahe hain kabse, shrota mujhko jhel priye, (listeners)


mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye


♥dEEpAk♥

Insaan aur Kutta


एक घर के सामने सडक बन रही थी, (ek ghar ke saamne sadak ban rahi thi) 
गरीब मजदूरिन वहाँ काम कर रही थी. (garib mazduran wahan kaam ker rahi thi)
मजदूरिन के घर का सारा बोझ उसी पर पडा था,(Mazduran ke ghar ka saara bojh usi per pada tha )
उसका नन्हा सा बच्चा साथ ही खडा था. (Uska nanha sa bachcha saath hi khada tha)

उसके घर के सारे बर्तन सूखे थे, (Uske ghar ke saare bartan sukhe the)
दो दिन से उसके  बच्चे भूखे थे. (Do din se uske bachche bhukhe the)

बच्चे की निगाह सामने के बँगले पर पडी, (Bachche ki nigaah saamne ke bangle per Padi)
देखी, घर की मालकिन, हाथ मे रोटी लिये खडी. (Dekhi, ghar ki malkin, Haath mein roti liye khadi thi)

बच्चे ने कातर दृष्टि मालकिन की तरफ डाली, (Bachche ne kaatar drishti malkin ki taraf daali)
लेकिन मालकिन ने रोटी, पालतू कुत्ते की तरफ उछाली. (Lekin malkin ne roti, Paaltu kutte ki taraf uchaali)
कुत्ते ने सूँघकर रोटी वहीं छोड दी, (Kutte ne sunghker roti wahin chod di)
और अपनी गर्दन दूसरी तरफ मोड दी! (Aur apni gardan doosri taraf mod di!)
कुत्ते का ध्यान, नही रोटी की तरफ जरा था, (Kutte kaa dhyan, Nahin roti ki taraf zara tha)
शायद उसका पेट पूरा भरा था! (Shayad, Uska pet poora bhara tha)

ये देख कर बच्चा गया माँ के पास, (Ye dekh ker bachcha gaya maan ke paas,)
भूखे मन मे रोटी की लिये आस. (Bhukhe mann mein roti ki liye aas)

बोला- माँ! क्या रोटी मै उठा लूँ? (Bola-Maa! kya roti main utha loon)
तू जो कहे तो वो मै खा लूँ? (Tu jo kahe to wo main kha loon)

माँ ने पहले तो बच्चे को मना किया, (Maa ne pehle to bachche ko mana kiya)
बाद मे मन मे ये खयाल किया कि- (baad mein mann mein ye khayal kiya ki)

कुत्ता अगर भौंका तो मालिक उसे दूसरी रोटी दे देगा, (Kutta agar bhaunka to malik use doosri roti de dega)
मगर मेरा बच्चा रोया तो उसकी कौन सुनेगा? (Magar mera bachcha roya to uski kaun sunega?)

माँ के मन मे खूब हुई कशमकश, (maa ke mann mein khoob hui kashmakash, )
लेकिन बच्चे की भूख के आगे वो थी बेबस. (Lekin bachche ki bhookh ke aage wo thi bebas)

माँ ने जैसे ही हाँ मे सिर हिलाया, (Maa ne jaise hi haan mein sir hilaya,)
बच्चे ने दरवाजे की जाली मे हाथ घुसाया. (Bachche ne darwaaze ki jaali mein haath ghusaya)

बच्चे ने डर से अपनी आँखों को भींचा, (Bachche ne darr se apni aankhon ko bheencha)
और धीरे से रोटी को अपनी तरफ खींचा! (aur dheere se roti ko apni taraf kheencha )

कुत्ता ये देखकर बिल्कुल नही चौंका! (Kutta ye dekh ker bilkul nahin chaunka!)
चुपचाप देखता रहा! जरा भी नही भौंका!! (Chupchaap dekhata raha! Zara bhi nahin bhaunka!!)
कुछ मनुष्यों ने तो बेची सारी अपनी हया है, (Kuch manushyon ne to bechi saari apni haya hai,)
लेकिन कुत्ते के मन मे अब भी शेष दया है……. (Lekin kutton ke man mein mein ab bhi shesh daya hai)


♥dEEpAk♥

Monday, 1 October 2012

Wo Mujhe Yaad To Karti Hogi



Kyun Mujhse Her Ik Pal Pochta Hai 
Wo Mujhe Yaad To Karti Hogi
Mein Jo Sunta Tha Uski Yaad Mein Ghazlein
Ab Wo Meri Yaad Mein Sunti Hogi
Bhool Jana Bada Mushkil Hai Aaj Ye Jana
Bebasi Se Wo Kisi Dost Se Kehti Hogi
Kabhi Apni Bechainiyoon Pe Roye Gee
Or Yuhi Kabhi Apne Haal Pe Hasti Hogi
Ye Bhi Mumkin Hai Mujhe Bhool Gayee Ho Shayed
Or Ye Bhi Mumkin Hai Mujhe Yaad To Karti Hogi

Wo Kehti Hai Use Phoolon Ki Chahat Hai



Wo Kehti Hai Use Phoolon Ki Chahat Hai,
Magar Jab Phool Khilte Hai Wo Un Ko Tod Deti Hai,
Wo Kehti Hai Use Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai,
Magar Jab Barish Hoti Hai Wo Afsurda Ho Kar Baith Jati Hai,
Wo Kehti Hai Hawaye Ishq Hai, Us Ka Chalna Achcha Lagta Hai,
Hawaa Lekin Chale Jab To Wo Khidkiyaan Band Rakhti Hai,
Mujhe Ab Dar Sa Lagta Hai Wo Jab Bhi Ye Kehti Hai,
K Use Hum Se Mohabbat Hai?

HAwa.



HAwa..
Tum janti ho sab
Ke mein ne raat ke pichle pehar
chupke se sari dastaan tum ko sunaya tha
Tumhien to yaad hi ho ga
Tabhi…
Jab ashk meri baat ke raste mein aaye the
Tabhi…
Jab lafz mere durd ki shidat se ghaayal the
Meri sochien
Jab uski chaap ke peechay gaien thien to
Hawa tum ne hi mera bheegta daman sukhaya tha
Hawa tum sun rahi thi na ke jab us ne kaha tha
Muntazar rehna mein Aoon gi
Hawa…
Tum to gawah ho ke tab se ab talak
in rastoon se
Meri ankhoon ke diye bhujnay nahi paye
Hawa tum to usi ke rastoon se ho ke aaye ho
Hawa….!
Wo aa raha thi na?

Hawa….! —

HAwa.



HAwa..
Tum janti ho sab
Ke mein ne raat ke pichle pehar
chupke se sari dastaan tum ko sunaya tha
Tumhien to yaad hi ho ga
Tabhi…
Jab ashk meri baat ke raste mein aaye the
Tabhi…
Jab lafz mere durd ki shidat se ghaayal the
Meri sochien
Jab uski chaap ke peechay gaien thien to
Hawa tum ne hi mera bheegta daman sukhaya tha
Hawa tum sun rahi thi na ke jab us ne kaha tha
Muntazar rehna mein Aoon gi
Hawa…
Tum to gawah ho ke tab se ab talak
in rastoon se
Meri ankhoon ke diye bhujnay nahi paye
Hawa tum to usi ke rastoon se ho ke aaye ho
Hawa….!
Wo aa raha thi na?

Hawa….! —

Pechle Pehar Ki Raat Thi



Pechle Pehar Ki Raat Thi
Tanhaii Or Un Ki Yaad Thi
Chaand Ne Mujh Se Pucha Koun
Hai?
Main Ne Kaha Koii Saath Nahi
Pucha , Zindagi Kesi Hai?
Main Ne Kaha Koii Khaas Nahi
Pucha , Phir Kia Chahate Ho ?
Main Ne Kaha Koii Aas Nahi
Pucha , Tum Ne Pyaar Kia Tha
Main Ne Kaha Kuch Yaad Nahi
Pucha, Tumhare Sath Bhi Dhoka
Hua ?
Main Ne Kaha aisi Koii Baat Nahi
Pucha , Phir Ak Baat Kaho Tum Se ?
Main Ne Kaha Koii Ahtaraaz Nahi
Kaha, Phir Tum Ne Bhi Pyaar Kia Hai
Or Ab Wo Tere Sath Nahi !!

Friday, 28 September 2012

Ajab pagal si larki hai




Ajab pagal si larki hai
mujhe har khat me likhti hai
mujhe tum yaad karte ho
tumhai’n me yaad aati ho’n
meri batai’n satati hai’n
meri nendai’n jagati hai
meri aankhai’n rulati hai
Decembr ki sunehri dhoop me
ab bhi tehelte ho
kisi khamosh raste se koi aawaz aati hai
titharti sard raato’n me
tum ab bhi chat pe jate ho
falak k sab sitaro’n ko
meri batai’n sunatay ho
kitabo’n se tumharay ishq me koi kami aai
ya meri yaad ki shiddat se
aankho’n me nami aai
ajab pagal si larki hai
mere har khat me likhti hai
jawabn us ko likhta ho’n
meri masrufiat dekho
subho se sham office me
charag-e-umr jalta hai
phir us k bad dunya ki
kai majborai’n pao’n me
bedia daal rakhti hai
mujhe be’fikr chahat se
bharay sapne nahi dikhte
tehelne jagne roone ki
mohlat he nahi milti
sitaro’n se mile arsa huva
naraz ho’n shayad
kitabo’n se shagaf mera
abhi wese he qaim hai
farak itna bada hay ab
unhe arse me padhta ho’n
tumhai’n kis ne kaha pagli
tumhai’n me yaad karta ho’n
k main khud ko bhulane ki
musalsal justujo’n me ho’n
tuhai’n na yaad aane ki
musalsal justujo’n me ho’n
magar ye justujo’n meri
bohot nakam rehti hai
mere din raat me ab bhi
tumhari yaad rehti hai
mere lafzo’n ki har maala
tumharay naam rehti hai
tumhai’n kis ne kaha pagli
tumhai’n main yaad karta ho’n
purani baat hay jo log
aksar gungunate hai’n
unhe hum yaad karte hai’n
jinhe hum bhool jate hai
ajab pagal si larki hai
meri masrufiat dekho
tumhain DIL se bhulao’n to
tumhari yaad aai na
tumhai’n DIL se bhulane ki
mujhe fursat nahi milti
or is masruf jivan me
tumharay khat ka ek jumla
tumhai’n me yaad rehti ho
meri chahat ki shiddat me
kami hone nahi deta
boht raatai’n jagata hai
mujhe soone nahi deta
so agli bar khat me
ye jumla nahi likhna
ajab pagal si larki hai
mujhe phir bhi ye likhti hai
mujhe tum yaad karte ho
tumhai’n me yaad aati ho’n
tumhai’n me yaad aati ho’n. . . . 

Wo kehti hai suno jaana,



Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?
Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,
Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,
Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,
Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,
Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,
Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?
Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,
Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?
Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,
Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,
Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,
Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,
Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,
Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?
Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?
Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,
Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,
Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!!

Ik Saal Purana Qissa Hai


Ik Saal Purana Qissa Hai
Ik Larka Tha Deewana Sa
Karta Tha Manmana Sa
Wo Shokh Shokh Chanchal Sa
Mehka Mehka Pagal Sa
Ik Roz Muhabbat Ker Betha
Or Ab K Sal Ka Qissa Hai
Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai
Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya
Or Apne Aap Ko Maar Gya
Sare Jag Se Jeet Gya
Bas Apne Aap Se Haar Gya .

Thursday, 27 September 2012

Ek Pagal ladki jise main janta hoon.



Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.
kuchh bhi kaho, lagti hai vo ek gudiya,
bhool jata hoon har gam, jab sath ho vo jadu ki pudiya.
thodi si chanchal hai
thodi si nadaan hai vo
thodi si bholi hai
aur iss zalim duniya se anjaan hai vo
Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.
Gam diye hai usko, uske khwaabo ki tabir ne.
Dhokha diya hai Usko, uski be-intehaa wafa ne.
Gar bholepan ka matlab gam hai, to de do mujhe sare gam.
Rehne do usko bholi, na aaye uske chehre pe sitam.
Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.
Aae kash main uske liye kuchh kar pata.
Apne hisse ki khusiya bhi uske nazar kar pata.
Aye mere khuda, apni kuchh rehmat dikha.
Uska bholapan, muskaan, masoomiyat mujhe firse dikha.
Ek Pagal ladki jise main janta hoon.
kya chahti hai vo, main bhi nahi janta hoon.

Chand nikla kare to chhat par aaya karo



Surkh aanchal main chehra chhupaya karo
Chand nikla kare to chhat par aaya karo
Chhat par tahlo ada se sawarte hue
Main bhi dekhu tumhen nikharte hue
Der tak aisa didar karta rahu
Achhi tasvir aankho main bharta rahu
Mujhse najre na ab tum churaya karo
Chand nikla kare chhat pe aaya karo
Der he se sahi aa bhi jaya karo
Dekhkar mujhko aanchal giraya karo
Dhup ki, chhao ki, sham ki, rat ki
Bigre mausham ki ya fir to barsat ki
Ab na jhuthe bahane banaya karo
Chand nikla kare chhat pe aaya karo
Apni palke jhukakar uthalo jara
Apni balkhai julfen saja lo jara
Kuchh na bolo na koi shararat karo
Mujhse na ab tum shikayat karo
Bas mujhse dekhkar muskuraya karo
Chand nikla kare chhat pe aaya karo…

Tere Honthon Pe Jab Naam Mera Aya Hoga,



Tere Honthon Pe Jab Naam Mera Aya Hoga,
Koi Sun Na Le Ye Soch Ke Ghabraya Hoga,
Soch Ke Apne Hi Iss Pyaar Bhari Harkat Pe,
Tu Man Hi Man Tab Haule Se Muskuraya Hoga,
Machal Gaya Hoga Tu Fir Ek Baar Mujhe Chhune Ko,
Mera Chehra Teri Nazron Me Fir Se Samaya Hoga,
Nahin Nahin Wo Mahin Mil Sakta Tujhe Ee Dil,
Tune Fir Ek Baar Apne Iss Dil Ko Samjhaya Hoga,
Tadapkar Dil Ne Fir Khuda Ko Duhai Di Hogi,
Fir Aaj Tune Dua Ke Liye Hath Uthaya Hoga,
Kar De Meri Mahobbat Mere Naam Yaa Rubba,
Tune Parwardigaar Ko Fir Ek Bar Manaya Hoga,
Na Chala Hoga Bas Tera Iss Deewane Dil Pe,
Aur Tadapkar Tune Mujhe Phone Lagaya Hoga,
Sunkar Awaaz Meri Bharra Gaya Hoga Tera Gala,
Shabd Ek Bhi Na Zabaan Se Nikal Paya Hoga,
Kaisi Hai Ye Majburi Kyun Ye Duri Hai Sanam Se,
Tune Fir Ye Sawaal Apne Maula Ke Samne Uthaya Hoga.

Is arzu say agay, k0i rasta nahi hai,



Is arzu say agay,
k0i rasta nahi hai,
Tumhain kis kadar hai
CHAHA…
Tumhain yeh paTa nahi hai
k0i paL Bina tumhare,
Bhala kaise beet jaye?
Mere pas Tum nahi ho,
Mere pass kuch nahi hai,
Meri har dua ka mehvar,
Bas Ik ARZOO Tumhari,
Is arzu se agay,
k0i rasta nahi hai,
Tumhein kIS qadaR hai
CHAHA……
Tumhain yeh
Pata Nahi HAI….

Wednesday, 26 September 2012

Aankhein Moondh Leta Hoon





Tumhara Naam Likhta Hoon Main Kaaghaz Par
Dekhta Hoon Sochta Hoon
Woh Kaaghaz Phaar Deta Hoon
Phir Unn Kaaghaz Ke Tukron Ko
Mutthi Mein Bheenchta Hoon
Phaink Deta Hoon
Waheen Par Baith Kar Larta Hoon Khud Se
Wohi Kaaghaz Uthaata Hoon
Main Aankhon Se Lagaata Hoon
Phir Apne Paas Rakhe Paani Ke Pyaale Mein
Woh Kaaghaz Daal Deta Hoon
Main Tum Ko Sochta Hoon
Phir Uss Paani Ko
Taweez-E-Mohabbat Jaan Kar Peeta Hoon
Aankhein Moondh Leta Hoon

Kisi Aur Zindagi Kaa Meri Zindagi Main Hissa Hai


Kisi Aur Zindagi Kaa Meri Zindagi Main Hissa Hai 
Ekk Umr Se Bada Hum Dono Kaa Rishta Hai 
Dil Ko Aap Bhee Zara Apni Aankhen To Dijiye
Zindagi Se Aage Bhee Bahut Kuchh Dikhta Hai 
Mai Jo Bhii Geet Kagaz Par Utarun
Koi Aake Chupke Se Wahan Tera Naam Likhta Hai 
Main Likhna Kese Chhod Dun, Ye To Aaina Hain Mere Zazbaato Kaa
Jisme E-Humdam Tera Chehra Dikhta Hai 
Log Kehte Hai Us Khuda Ko Kisi Ne Nahi Dekha
Tu Muskurata Hain Toh Mujhe Vo Bhii Dikhta Hai 
Tera Do Lamho Kaa Saath Mila To Jese Sab Mil Gaya
Ab Kyon Poochun Kisi Se, Aakhir Ye Kismat Kaun Likhta Hai

Nazar Jab Tum Se Milti Hai


Nazar Jab Tum Se Milti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Bas Ek Dharkan Dharakti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Tumhain Milne Se Pehle
Main Bohat Banta Sanwarta Ho
Mager Jab Tum Sanwarti
Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Main Akser Sochta Rehta
Hoon Kya Hai Ye Sab???
Tu Batain Mujhe Se Karti
Hai
 Main Sab Kuch Bhool Jata Hoon
Main Apni Zaat Main Khud-Dar
Hoon’ Khoya Sa Rehta Hoon
Mager Jab Teri Chori Khanakti
Hai Main Khud Ko Bhool Jata Hoo
Tu Gum Hoti Hai Socho Main’
Main Takta He Rehta Hoon
Jo Tu Pehlo Badalti Hai Main
Khud Ko Bhool Jata Hoon
Main Akser Kitabo Pe
Tera Naam Likhta Hoon
Mager Kuch Tu Jo Likhti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Main aksar yehi kehta hoon, main tum say pyar karta hoon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hoon..

Tuesday, 25 September 2012

Meri mohabbat. :)



Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho
Tum jahan peh beth k jati ho
Main waheen pe betha rehta hoon
Uss cheez ko choota rehta hoon
Main aisi mohabbt karta hoon

Tum jis se huns k milti ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis raste par chalti ho
Main us se aata jata hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum jin ko dekhti rehti ho
woh khawab....sarhane rakhta hoon
Tum se milne julne k
Kitne hi bahane rakhta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho


Kuch khawab saja kar aankhon main
Palkon say moti chunta hoon
Koi lums agar choo jaa a to
Main pehroon us ko sochta hoon
Main...aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jin logon main tum rehti ho
Tum jin se baatein karti ho
Tum jin se huns k milti ho
Jo tum ko ache lagte hoon
Wohi mujh ko ache lagte hain
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jis bagh main subah ko jati ho
Jis sabze par tum chalti ho
Jo shaakh tumhein choo jati hai
Jo khushboo...tum ko bhaati hai
Woh oos tumhare chehre par
Jo qatra qatra girti hai
Woh tittli chor k phoolon ko
Jo tum se milne aati hai
Jo tum ko choone aati hay
Unn sab k nazuk jazbon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shamil rehti hai
Tum paas raho ya door raho
Nazron main samai rehti ho
Main tum ko takta rehta hoon
Main tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum kaisi mohabbat karte ho?



Tum jab bhi ghar par aati ho
Aur sab se baatein karti ho
Main aut se parde ki jana
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Ik tum ko dekhne ki khatir main kitna pagal hota hoon
Main aisi mohabat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho ?

Jab darwaze par dastak ho
Ya ghanti phone ki bajti ho
Main chor k sab kuch bhagta hoon
aur tum ko jo na paoon to ji bhar k rone lagta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho?

Mehfil main kahein bhi jana ho
Kapron ka selection karna ho
Rang bohat se samne bikhre hoon
Uss rang pe dil aa jata hai
Jo rang k tum ko bhata hai
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho ?

Rozana apne college main
Kisi aur ka lecture sunte hue
Ya break k khali ghante main
Yaaron se baatein karte hue
Mere dhyan main tum aa jati ho
MAin,main nahin rehta
Phir jaana main tum main gum ho jata hoon
Bas khawabon main kho jata hoon
Unn aankhon main kho jata hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho?

Jis chehre par bhi nigah pare
Har chehra tum sa lagta hai
Woh sham ho ya ke dhup samay sab kitna bhala sa lagta hai
Jane ye kaisa nasha hai garmi ka
Tapta mousam bhi jare ka maheena lagta hai
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho ?

Tum jab bhi samne aate ho
Main tum se sunna chahta hoon
Kash kabhi tum ye keh do
Tum mujh se mohabbat karti ho
Tum mujh ko bohat hi chahti ho
Lekin jane tum kyun chup ho
Yeh soch k dil ghabrata hai
Aisa to nahin hai na jana sirf meri nazar ka dhoka ho
Tum ne mujh ko chaha hi na ho
Koi aur hi dil main rehta ho

Main tum se poochna chahta hoon
Main tum se kehna chahta hoon
Lekin kuch pooch nahin sakta mana ke mohabbat hai
Phir bhi lab apne khol nahin sakta
Main darta hoon kaise keh doon
Main kaisi mohabat karti hoon
Main tum se ye kaise pochoon
Tum kaisi mohabbat karte ho
Chup chap see main...ho jata hoon
Phir dil main apne kehta hoon

Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho?

Main aisi Mohabbat karta hun


Jis college main tum pardhti ho
Jis class main bhi tum jaati ho
Jis kursi pe tum bethti ho
Jab class woh khali hoti hai
Main ja k us main bethta hoon
Uss kursi ko main choota hoon
Gadla sa ik tissue paper
Jo tum ne class main choora tha
Main pyar se uss ko choota hoon
Main us ko...purse main rakhta hoon
Woh copy jis main lecture k tum points likhti rehti ho
Har moqay par Har manzar main
Main saath tumhare rehta hoon
Main chashm-e-tasavvur main aksar
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Bas tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Mujhy Thandak raas Nahe Aati
Mujhay Barsih Se Khof aata he
pr Jis din se maloom hua
Yeh mosam tumko bhata he
ab jab bhi sawan aata he
barish main bheegta rehta hun
Main a c Muhabbat krta hun....

Monday, 24 September 2012

China ki chaplein

In barishon se kaho k mere angan me yun na brsa krein Faraz,
Meri China ki chaplein keechar me phisalti hain…….!! :-D

bijli bhi medicine ki trah

Ab to bijli bhi medicine ki trah ho gae hy FARAZ…
2 ghanta subah nashte se pehle
2 ghanta dopehar khane k baad
Or 2 ghanta raat sone se pehle

Daku Shayer

Ek Shayar Ghurbt Se Tang Aa Kr Daku Bn Gya


Daketi Krne 1 Bank Gya Or Kaha



Arz He

Takdir Me Jo Hai Wohi Milega,



HandsUp,Koi Apni Jagah Se Nahi Hilega..





Phir Cashier Se Kaha...


Apne Kuch Khuwab Meri Aankho Se Nikaal Do...



Jo Kuch Bhi Tmhare Pas H Jaldi Se Is Bag Me Daal Do



Boht Koshish Krta Hun Teri Yad Bhulane Ki,

Khabrdaar Koi Koshish Na Kre Police Ko Bulane Ki





Bhula De Mujhko, Kya Jata H Tera,


Me Goli Maar Dun Ga, Jo Kisi Ne Picha Kiya Mera.

Mazaq Mazaq Main

Yunhi Mazaq Mazaq Main Hum Ganjey Ho Gae Faraz!
Najaney Kon Hamarey Shampoo Main Veet Daal Gaya?

Petrol Bht Mehnga

Main Ne Usay Btaya B Hai K Petrol Bht Mehnga Ha ?Faraz..!?
Phr B Kehti Hai Falak Tak Chal Sath Mere,
Falak Tak Chal Sath Chal?..

Anarkali Phasante Raho

Zindagi Lambi Hai Dost Banate Raho
Dil Mile Na Mile Hath Milate Raho
Taj Mahaln banana To Mushkil Hai Mager
Har Gali Main 1 Anarkali Phasante Raho

Daud Ke Karna Kya Hai

Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai?
Jab Yehi Jeena Hai Dosto To Phir Marna Kya Hai?

Paheli Barish Me Train Late Hone Ki Fikr Hai
Bhul Gaye Bhigte Hue Tahelna Kya Hai?

Serails Ke Kirdaaro Ka Saara Haal Hai Malum
Par Maa Ka Haal Puchhne Ki Fursat Kise Hai?

Ab Ret Pe Nage Pao Tahelte Kyu Nahi?
108 Hai Chanel Phir Dil Bahelte Kyu Nahi?

Internet Ki Duniya Ke To Touch Me Hai,
Lekin Pados Me Kon Raheta Hai Jaante Tak Nahi.

Mobile, Landline Sab Ki Bharmaar Hai,
Lekin Jigri Dost Tak Pahuche Aise Taar Kaha Hai?

Kab Dubte Hue Suraj Ko Dekha Tha Yaad Hai?
Kab Jaana Tha Shaam Ka Woh Banana Kya Hai?

To Dosto Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai
Jab Yahi Jeena Hai To Phir Marna Kya Hai?

Mixx

Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Kyuki Tumare Ghar Ki Ghanti Hum Hi Baja Kar Bhage
Aap Itrate Bahut Ho
Dil Ko Behlate Bahut Ho
Sochte Hai Aap Ko DINNER Par Le Jaye
Par Kya Kare ZALIM Tum Khate Bahut Ho
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Gaur Farmaaiga..
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Ek Cup Shubah.. Or Ek Cup Shaam Ko Pilaenge
Mere Marne Ke Baad Mere Doston,
Yu Aansoo Na Bahana,
Agar Meri Yaad Aaye To,
Sidhe Upar Chale Aana!!
Kitna Pyaar Karte Hain Tumse
Kaash Tumko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaye
Magar Aisa Na Ho Ke
Woh Hosh Mein Tab Aaaye
Jab Hum Gehri Neend Mein So Jaaye
Amiri Ke Khwab Dekhne Laga
Angreji Sharab Chakhane Laga
Baap Ne Kabhi Pager Nahi Dekha
Aur Beta Mobile Rakhne Laga!!!
Hathi Nay Kaha Ja Kar Hathni Ki Kabar Per
Sadqay Jaoon Tumhari Patli Kamar Per

Bohat Hee Khobsurat Nazm

Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain
Yeh Larke Kion Apna Waqt Berbaad Kerte Hain
Zara Samjha Kero Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo
K Sharif Zaade Kahan, Kab, Aisi Baat Karte Hain
Kissi Se ?Luv U? Kehte Hain Kissi Se ?Hug U? Kehte Hain
Yeh Jo Aap Kerte Hain Who Kya Khak Kerte Hain??
Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Kerte Hain
Maa Baap Ke Paisoon Ka Khana Kharab Kerte Hain
Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Kerte Hain
Mager Matlub Ki Baatoon Ko Huns Ke Taala Kerte Hain
Dharm Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Karte Hain
Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhte Hain
Nahin Ager Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor
To Larkion Ke Face Mein Kia Talaash Kerte Hain???
Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon Inn Pe Likh Ker
Chalein Chorein Aaj Hum Inn Ko Maaf Kerte Hain?..

Ishq Kernai Walon Ka Yehi Anjam Hota Hai

Ishq Kernai Walon Ka Yehi Anjam Hota Hai
Kabhi Nazla Kabhi Khansi Kabhi Zukaam Hota Hai

Milne Ka Bara Shoq Tha

Mujhe Apni Mehbooba Se Milne Ka Bara Shoq Tha
Use Qareeb Se Dekne Ka Bara Shoq Tha
1 Din Likh Diya Khat Usko Sabr Kar K
Dil Me Armano Ki Qabr Kar K
Bholi Bhali Samaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Gulzar Ko
Me Ne Darya Ki 1 Bari Moj Dekhi
Jab Apne Peeche Gulzar Ki Foj Dekhi
Un K Maarne Se Jism Se Saaz Nikal Rahe The
Mun Se Agle Pichle Raaz Nikal Rahe The
Logon Ne Kaha Kis Pe Azaab Aaya He
Dil Ne Kaha Khat Ka Jwaab Aaya Hai

New Student Remix Of Amplifier

KaAliyan bariyan we paper nu me laawa,
Speed me 220 di likhaan,
Teacher de saamne me nai rukda,
Em a night writer,
Rem0vAan maAr mar paper nu chehk kad da,
Sarey bchey takde we ki hogaya,
Lagda we aj mera paper hogaya,
Un nu me puchda,
Ni paper sada le ja ni jattiye,
Ni dur isey le ja we ariye,
Ni teacher tu meri, meri, Mein tera student dent.

Monday Ko Office Jana Hai

Niklay Jo Duniya Ki Bheer Main To Jana Yeh Faraz
Her Sakhs Woh Udas Hai Jisay Monday Ko Office Jana Hai :p

Ek Ladki thee Diwani see

Ek Ladki thee Diwani see,
Tendulkar per wo Martee Thee,
Chori chori, chupke chupke Bhajji ko
Chitthiyaan Likha Karti Thee,
Nazren jhuka ke, Sharma ke,
Gauti se baatein karti thee,
Kabhi kabhi zulfein bikherke,
Viru ki galiyon se Guzarti thee,
Kuchh kehna tha shayad usko Raina se,
par Maahi se wo darti thee,
Jab bhi milti thi Yuvi se,
bas yehi poochha karti thi ke,
Kameeno, Koi Series kab Jeetoge???